Quran Kya Hai – What Is Quran ? Short Introduction about Quran in Urdu
Aksar logon me ye baat paayi jati hai khas tour se humare Gairmuslim aur Khud Muslim bhaiyo me ke “Quraan Kya Hai ?” isey kisne likha aur kab nazil hua ?. tou aayiye iski talluk se jo Galatfehmi hai uska ijala karne ki koshish karte hai.
Quran kab Naazil hua ?
Allah Rabbul Izzat ne Quran me farmaya :
❝ Ramzan wo Mahina Hai Jisme Quran ko humne nuzool kiya” [2:185]
Ramzan ke mahine me kab nazil hua uske talluk se Surah Qadr me Allah ne farmaya:
❝ Humne is Quran ko Shabe Qadr me nazil kiya” [97:1]
Quran kis par Nazil hua ?
Allah Taaal ne Quran-e-Kareem Apne Aakhri Nabi Muhammad (Salallahu Alaihi Wasallam) par Nazil kiya. iske bare me Bukhari Sharif ki jild number 6 me beshumar Quran se Mutalik Aahades aati hai..
Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke barey me Allah Rabbul Izzat Quran me khud Gawahi deta hai ke:
❝ Mere Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) is kitab ke nuzul se pahle na kuch padh sakte they aur na likh saktey they, agar inhe padhna likhna aata tou kafir kehtey ke Nabi ne khud Quran bana liya” [29:48]
Tou ye baat wajeh thi ki Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) padhna likhna nahi jantey they. Encyclopedia Britannica bhi iski gawahi deti hai ke jitni tarikhi hawale (historical evidence) miltey hai uss se yahi maloom hota hai ke Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko padhna likhna nahi aata tha.
Quran kaise Nazil hua ?
Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke “Jibrayeel Alaihi Salam ko Allah ta’ala jab kabhi hukm detey tab jibrayeel (Alaihi Salam) Quran ki Aayte lekar mere paas aatey.” [Mafhum-e-Hadees]
Aaj aksar hum me ek Galatfehmi hai ke Quran 30 paaro me nazil hua. yaad rakhiye paara koi cheez nahi hoti. kyunki Arabi me “Paa” nahi aata , ye urdu aur farsi lafz hai.
Tou ye jo 114 Surah hai, inko Allah Ta’ala ne 23 Saal (years) Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki hayat me alag alag mouko par thodi thodi aayate karke nazil farmaya. Jibrayeel (Alaihi Salam) aatey, aap par aayate nazil karte , aapko yaad karwatey jiske talluk se Quran me hi Allah ne farmaya:
❝ Aye mere Nabi! iski tilawat me zaldbaji se apni Zuban mat feriye , Hum aapko iski Qiraat karayenge, iske maney samjhayenge aur isey jama kar ke aapko de dengey.”[75:16-19]
Tou Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Jibrayeel (Alaihi Salam) ke jarye Allah Rabbul izzat Quraan ki aayte sikhatey. fir Ek Ramzan se agle saal ke Ramzan tak jitna Quraan Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) par nazil ho jata utna pura hissa Jibrayeel (Alaihi Salam) aapse baar baar suntey, taaki Hifz accha ho jaye.
Quraan ka jitna hissa jo Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) par Nazil hota utna Aap Sahaba ko boltey. Sahaba unke Zamane me jo kuch bhi likhne ke Wasail hua karte they unpar wo aayte likh letey, jaise Patthar par, Khajur ke Darkhtto ke patto par jis tarha bhi likh sakte they likh liya karte aur usey apne gharo me mehfuz rakh detey. is tarha alag alag mouko par Quran Nazil hua.
Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke is dunia se rukhsati ke baad Abu Baqar Siddhik (RaziAllahu anhu) Muslamano ke pahle khalifa baney. Aapki khilafat me “Muselima Kajjab” naam ke ek shakhs ne Naboowat ka dawa kiya. Hazrate Abu Baqar Siddhik ne uss Kajjab se jihad kiya , uss jung me takreeban 70 Sahaba Shahid huye jo Huffaze Quraan they.
Tou Hazrate Umar (R.A) Hazrate Abu Baqar Siddhik (R.A.) ke paas aaye aur kaha ke
“Aye Ameer-ul-Mominin ! agar huffaz is tarha khatam ho jayenge tou Quran alag alag Gharo me alag alag hisso me rakhey hue hai jisey samjhne me logon ke liye pareshani hogi , lihaja hum ek kaam karte hai – Aap sabse kahiye ke jo bhi Quraan ka hissa unhone likha tha wo pura laye, hum Huffaze Quraan ko bithayenge , purey Auraaq ko tarteeb se jama karenge aur jama karke ek jagah seeh denge.”
Lihaja waisa hi kiya gaya , ek Nuskha banaya gaya , tou pahli martba Quraan ne kitab ki shakl li aur isko rakha gaya Ummaha-tul-Mominin Aayesha (RaziAllahu anha) ke ghar me, fir baad me jab Umar (R.A) Khalifa baney tou uss nuskhe ko laya gaya Umar (R.A) ke ghar.
Quran ke kounse nuskhe jalaye gaye ?
Usman (R.A) ki khilafat me Islam Arab se bahar bhi failta ja raha tha. Iran, Indonesia, Africa isi tarha India tak faiyl raha tha. isi douran jo Gair Arbi log they chunki Arab unki Madri Zubaan (mother tongue) nahi thi lihaja Qiraat karne me galatiya kar rahe they aur apne Qiraat ke hisab se jaisa chahe likh rahe they.
Logon ne Usman (R.A) se shikayat ki ke Quraan ko alag alag tareeke se log padh rahe hai, lihaja aapne kaha ke jiske paas bhi likha hua Quraan hai wo sab laaya jaye, Saare naye likhey Quraan ke nuskhe laye gaye, unn saare Nuskho ko Aag laga kar jala diya gaya.
Aag lagane ka huqm is liye diya kyunki Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ka wajeh irshade mubarak tha ke “kahi agar Quraan likhi hui hai tou usey faado mat, balki dafan karo ya usey aag laga do”
Lihaja unn tamam naye nuskho ko jala diya gaya aur fir wo pehla Nuskha (master copy) jo Hazrat Umar (R.A.) ke mashware par banaya gaya tha usey Hazrate Umar (R.A.) ke ghar se lakar Sahaba se kehkar is nuskhe ki 7 copy banayi gayi.
kyunki Aapki khilfat me islami hukumat ke 7 states they, har state ka ek governor tha, lihaja har state ko Usman (R.A.) ne apne khilafat ki seal mangakar ek ek original copy rawana kar di.
Aaj dunia me hum jitney bhi Quraan ke nuskhe dekhtey hai usi Quraane Majid ki copy se baney hue hai. lekin uspar Jer , Jabar nahi they.
Quran me Zer-Zabar kaha se aaye ?
Qurane Majid ki un 7 copy me Jer Jabar nahi tha, isiliye kyunki wo Arbiyo ki Madri Zaban (mother tongue) thi. jaise ke Urdu Humare liye bilkul Aam Zuban hai lihaja hume bhi Urdu par jer jabar ki jarurat nahi padti.
lekin Hajjaz bin Yusuf ne dekha ke gair arbo ko mushkil ho rahi bagair jer jabar ke. lihaja unhone kaha ke jo tajwid hai uske hisab se jer jabar lagayenge. lihaja unhone jer jabar lagwaye aur fir wo copies bhi mashoor ho gaye. lekin jo Tajwid aur Qirat hai ye bilkul usi se hu-ba-hu miltey jultey hai jo Usman (R.A.) ke zamane me they.
Aqalmando ke liye Nasihate hai Quran me:
Alahmdulillah ! ye Qur’an dunia ki ek hi aisi wahid kitab hai jisey 4 saal ke bacche se lekar 100 saal ka bujurg bhi pura Hifz kar leta hai. is me Allah Rabbul Izzat ne nasihate rakhi hai un logon ke liye jo Aqal rakhtey hai. jiske talluk se Allah Rabbul Izzat ne Quran me hi farmaya aur kaha:
❝Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam)! ye mubarak kitaab hai jisey humne Aapki taraf iss liye nazil kiya ke log iski aayto par gaur kare aur aqalmand is se naseehat hasil kare.” [Surah Sad 38:29]
✦ WAJAHAT:
Tou iss puri post ka mouju yahi hai ke ye Quraan ka nuskha na hi koi Sharayi Biddat (yaani naya akida) thi aur na hi isme Allah ke Qalam ke alawa kisi aur ka qalam hai. agar koi Shakhs isey Insano ki manamani likhi hui kitab kehta hai tou usey chahiye ke iski tarha ek Surah bana la dey ya fir isme aisi koi bhi 2 Aayate dikha de jo aapas me taqraati ho.
♥ Alahmdulillah! aaj puri duniya me sabse teji se failne wala koi deen hai tou wo Islam hi hai. kyunki log Sukun ki talash me Quran ki taraf aa rahe hai. Allah ke Fazl se Hidayat pa rahe ha.
Lekin ek hum hai ke iski hidayat par gour karne ke bajaye isey taweez ki shakl me galey me latkaate fir rahe hai. SubhanAllah! itna hi nahi balki sabse haram jagah yaani dahej me bhi Quran diya jata hai aur tajjub ki baat ye hai ke wo Quran ko fir uss ghar se koi mayyat nikle tou hi isale sawab ke liye rasmi tour par bahar nikala jata hai. Masha’allah! Allah Hidayat dey humare badey aur choto ko jinhone duniya parasti ke fitno me apna imaan ka souda kiya.
Beharaal hume chahiye ke Quran-e-Majid aur Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke farman se wo rishta jod ley ke jab Sahaba ne joda tou duniya ki Hukumate Allah Rabbul Izzat ne unke Qadmo me daal di aur aaj humne isme Khayanat ki isiliye Sher ki khaal me bhediyo ne humara jina haram kar diya.
Lihaja hume chahiye ke ye kitab jo insaniyat ke hidayat ke liye nazil hui hai uspar hum sab gour karey, ispar Amal karey aur jitna ho sakey iske paigaamat ko logon me aam karey.
♥ In Sha’ Allah-ul-Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat hume kahne sun’ne se jyada aml ki taufik dey,
# Hum tamam ke liye Quraane Majid ko padhna, samjhna aur uspar Amal karna aasan farmaye,
# Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
# Khatma Humara Imaan par ho.
!!! wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!
Comments
Post a Comment
Thank you