Gheebat Ka Taruf Aur Nuqsaan | Gheebat Kise Kehte Hai ?
Gheebat Ka Taruf Aur Nuqsaan | Gheebat Kise Kehte Hai ?
Naa kisi ki Geebat karo aur naa hi kisi par tohmat lagao,
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Tum jante ho Gheebat kya hai ?.”
Logo ne kaha “Allah aur uske Rasool ﷺ behtar jante hain.”
Aap (ﷺ) ne farmaya “Geebat yeh hai ke, tum apne bhai ka Zikr karo is taur par ke agar woh samne ho tou usey accha na lage.”
Logo ne kaha “Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! agar uss me woh Aib mojood ho tou ?.” Aap (ﷺ) ne farmaya “tabhi tou Gheebat hui, nahi tou khuli tohmat (ilzam) hogi.”
• Note: Kisi Musalman ke liye yeh jayaz nahi ke wo kisi ki bhi burayi kare, chahe wo burayi usme moujud hi kyu na ho, Ha! fitno se aagah karna alag baat hai.
♥ Hiqayat: Hasan Basri (Rehmatullah Alayh) Se Kisi Shakhs Ne Aaker Kaha Ki Fala Shakhs Ne Aapki Geebat Ki Hain!
Hasan Basri Ne Usi Waqt Taza Choo-aare Mangwaye Aur Ek Tabaak (Thaal) Me Rakhker Unhe Bataur Tohfa Bheja Ki ‘Main Aapka Shukr-Guzaar Hoon Ki Aapne Meri Geebat Karke Apne Nekiyon Ko Mere Nama-A-Aamaal Me Muntakil (Trasnfer) Kerdiya Hain! Aapke Iss Ehsan Ka Badla Main Nahi Chuka Sakta! Yeh Hakeer-Sa Tohfa Kubul Farmayiye!’
Wo Shakhs Hazrate Hasan Basri (Rehmatullah Alayh) Ke Iss Sulook Ko Dekhker Bada Sharminda Hua Aur Aapki Khidmat Me Haazir Hoker Muafi Chahi!
– (Sacchi Hiwayat, Hissa-3, Pg-458)

# Sabaq:
» Kisiki Geebat Karne Se Sarasar Apna Hi Nuqsaan Hota Hain! Jiski Geebat Ki Jaye Wo Faide May Rehta Hain! Uski Nekiyan Usko Mil jati Hain! Lihaza Geebat Se Bachna Chahiye!
» Kisiki Geebat Karne Se Sarasar Apna Hi Nuqsaan Hota Hain! Jiski Geebat Ki Jaye Wo Faide May Rehta Hain! Uski Nekiyan Usko Mil jati Hain! Lihaza Geebat Se Bachna Chahiye!
» Yeh Bhi Malum Hua Ki Nek Bande Burayi Ka Badla Burayi Se Nahi Dete Balki Burayi Ke Badle Bhi Neki Hi Karte Hain!
Comments
Post a Comment
Thank you